·°―`··΄―°·
Tumhain Dillagi...
Tumhain dillagi bhool jaani paray gi
Muhabbat ki rahoon main aa kar tu daikhoo
Tarapnay pay meray na phir tum hansoo gay
Kabhi dil kissi say laga kar tu daikhoo
wafaoon ki ham say tawaqo nahi hay
magar aik baar aazma kar tu daikhoo
zamanay ko apna bana kar tu daikha
humain bhi tum apna bana kar tu daikhoo
ham na samjhay teri nazroon ka taqaza kia hay
kabhi parda kabhi jalwa yeh tamasha kia hay
jaan-e-jaan ham say yeh uljhan daikhee nahi jaatee
khuda k liay chour do ab yeh parda
keh hain aajj ham tum nahi ghair koi
shab-e-wasal bhi hay hijaab is qadar kion
zara rukh say aanchal utha kar tu daikhoo
jafaian bohat ki boohat zulam dhaiay
kabhi ek naga-e-karam is taraf bhi
humaisha huway daikh mujh ko barham
kissi din zara muskura kar tu daikhoo
jop ulfat main har ek sitam hay gawara
yeh sab kuch hay pass-e-wafa tum say warna
satatay hoo din raat jis tarhaan mujh ko
kissi ghair ko youn sata kar tu daikhoo
agarcha kissi baat par woh khafa hain
tu acha yehi hay tum apni si kar loo
woh manain na maian yeh marzi hay un ki
magar un ko pur nam mana kar tu daikhoo
Tumhain dillagi bhool jaani paray gi
Muhabbat ki rahoon main aa kar tu daikhoo
·°―`··΄―°·
Aaj Udhas hoon...
Aaj udhas hoon to zamana mujhey phochne aya ..
Magar Jis pe tha sadiyon ka bharam woh nahi aya..
Woh to ek khuwaab tha toot gaya bikhar gaya hai..
ajj udhas lamhon main phir kyon mujhe woh yaad aya..
Zindagi ki musafit ke woh chand din jo guzar chuke hain..
na hi un pe urooj aya,our na hi un pe zawaal aya...
Bhool na chahta hoon har lamha,har waqt jo guzar gaya hai..
jitna bhi roka woh waqt utna mere sath chala aya...
Guzra hua kal na tha mera,na hai mera our na ho ga kabhi...
yeh mein janta hoon magar phir bhi na dil ko karaar aya ..
woh wade teray woh kasmein woh sab yaad hain mujhe...
magar phir bhi kabhi tum ko mera dil na bhula paya..
Aana paye the tum to khudaar tha main bhi
yeh rishta hi humare dermiyan na raas aya..
us ki muskurahat tere liye ek fareb thi .........
tu tha nadan,dil tera usse na samajh paya
·°―`··΄―°·
Top
Yaadoon Se Rishta...
Yaadoon se rishta kal bhi thaa yaadoon se rishta
aaj bhi hai
Dil kal bhi apna dukhta thaa aur afsurdaa sa aaj bhi hai
Woh ishq jo hum tum karte thay woh ishq tu zinda ab bhi hai
Kal tak jo hijar sataata thaa us hijar ka pehra aaj bhi hai
Tum door huye majboori mein hum toot gaye is doori mein
Kabhi waqt mile tu aa jaana dil ka darwaaza khula aaj bhi hai
Woh saahil woh geeli mitti, mitti ke gharonde saahil per
Woh naam darakhtoon per likhna woh khwaab suhaana aaj bhi hai
Tum khush rehna dil ki duniya apni tu chalo barbaad hoi
Dil gham ka maara kal bhi thaa aur gham ka maara aaj bhi hai
Yeh ashk nahin hain aankhoon mein yeh taaray jhilmil karte hain
In aankhoon mein jo kal tak thaa woh chaand sa chehra aaj bhi hai
Ab shikwa kisi se kya karna taqdeer mein jo likha thaa mila
Gham kal bhi mera sarmaaya thaa gham mera warsa aaj bhi hai
·°―`··΄―°·
Os Ke Bina...
Os ke bina ab chup chap rehna acha lagta hai,
Khamoshi sey dard ko sehna acha lagta hai,
Jis hasti ki yaad mein Aanso barstey hain,
Samne os ke kuch naa kehna acha lagta hai,
Mil kar os se Bichar naa jaaon darta rehta hon,
is liye bas door hi rehna acha lagta hai,
janta hon keh chahat mein bas Aanso milte hain,
Kuch bhi ho ab is zehar ko peena acha lagta hai,
Je chahey sab khushiyan laa kar os ko de doon,
Os ke pyaar mein sab kuch khona acha lagta hai,
Os ka milna naa milna Qismat ki baat hai,
Pal Pal os ki yaad mein roona acha lagta hai,
Os ke bina sab khushiyan Abid Ajeeb si lagti hain,
Roo Roo kar os ki yaad mein sona acha lagta hai
·°―`··΄―°·
Hum Roo Na Sakey...
Ghum Mila Toh Ro Na Sakey..
khushi Mili To Hans Na Sakey..
Yeh kaisa Raaz Hey Zindegi Ka..
Ham Samaj Na sakey..
jis ko chaha..Apna Na bana sakey...
Aap chale Gayen..
Phir Bhi Dil se Nikhaal Na sakey..
Par jab Aap The..
Pass Bhi Na Aa sakey..
Ab Aapki YaadoOn ko..
Seene Se Lagaake Phirthey Hain..
Saamne Aap ko Paa kar Bhi..
Gale Na Lagaa sakey..
Yeh kaisa Raaz Hai Zindagi ka..
Ham na Samaj sakey..
jis Ko Chaha Aapna Na Bana sakey..
Ab Palko ko Band karke ..
Pal Mein Apke pass Hote Hein..
Magar jab Ankhon ke Samne Thay..
jee Bhar ke Dekh Bhi Na sakey..
Dil Dard se Bharaa Huaa Tha
Lekin Ro Na sakey..
Yeh kaise Raaz Zindegi ka..
Ham Na Samaj sakey..
Na Chup Rah Sakhe Na Pyar jataa sakey..
Ab Aap K Saath ke Liyeh..
Har Pal Tarapte Hein..
Magar jab Aap Tarap Rahey the..
To Saath Na Desakey..
Dil To Rotaa Rahey Par..
Ankhon Se AnsoO Na Bahein..!!
Pyaar K is Riwaj ko Na Samaj sakey..
Dil itni Chot Khakar Bhi..
Aap Hee ko Chhahta kyon Hai..
Hum Samaj Na sakey..
Aap ke Laakh inkaaron K Baad Bhi..
Aap Hamarey Nahin Hein!
Ye.. Dil ko Samjha Na sakey..
Laakh Chaaha Humne..
Phir Bhi Aapko Bhula Na sakey...
Aap Humein BhoOl Gaey..
Magar Hum Na BhoOla sakey..
Jaise Khuwaab Zindagi..
Aur Zindagi khuwaab Na HoO sakey..
Waise Aap Hamare Na HoO Sakey..
Aur.....
HUM KISI AUR KE NA HoO SAKAY..!!
·°―`··΄―°·
Ghazzal...
Do ashq meri yaad
mein bahaa dete to kya jaata...?
Chaar phool meri laash par charhaa dete to kya jaata...?
Aaye ho meri mayyat par naqaab daal kar
sanam
murdon ko chaand ka tukda dikhaa dete
to kya jaata...?
Poochte hain tumse log kiska ye janaza
hai ?
Marne waala kaun tha ? bataa dete to
kya jaata...?
Keh rahi hai sab kahani tere haathon ki
heena
Kisi aur din ye kissa sunaa dete to kya
jaata...?
Meri saans rukte hee mera dam nikaalte
hee
Meri duaa ko haath tum utthaa dete to
kya jaata...?
Jaan de di
hum ne tumhari hi
mohabbat mein
Ik chiraag tum Qabar par jalaa dete to
kya jaata...?
·°―`··΄―°·
Top
Teri Yaad Ney...
Teri yaad nay meray dil ko saja rakha hai
teray pyar main sab ko bhula rakha hai
kuch acha nahin legta teri judai kay baad
ek teri yaad ko sinay say laga rakha hai
tera milna to abb aik khawab hi lagta hai
najanay abb kyoon dil ko bhula rakha hai
sab kuch lut gaya hamara teray pyar main
teri yaad ko palkoon main chupa rakha hai
muqadar say miltay hain bichar kay warna
ajj bhi tera naam dil main saja rakha hai
najanay koi nahin basta teray siva ankh main
aik teri tasveer ko dil main chupa rakha hai
·°―`··΄―°·
Socha nahi tha..
Terey baarey
mein jab, socha nahin tha
Mein tanha tha magar, itna nahin tha
Teri tasveer
sey karta tha baatein
Merey kamrey mein Aaina nahin tha
Mein tanha tha
magar, itna nahin tha
Samander ne
Mujhey, Pyaasa hi rakha
Mein jab Sehra mein tha, Pyaasa nahin tha
Mein tanha tha
magar, itna nahin tha
Manaaney
roothney ke khail mein Hum,
Bichhar jaaein gey, Yeh socha nahin tha
Mein tanha tha
magar, itna nahin tha
Suna bund kar
leen, Uss ne Aankhein
Kai Raaton sey Woh, soya nahin tha
Mein tanha tha
magar, itna nahin tha
·°―`··΄―°·
Tum ko Maloom be shaid ho..
tum ko maloom bhi
shaid yah kabhi ho kay na ho
meri raatain teri
yadon say saji rahtin hain
meri sansain teri
khushbo say basi rahtin hain
meri ankhon main
tera sapna saja rahta hai
Han meray dil
main tera akas basa rahta hai
Is tarah meray
dil kay bohat pass ho tum
jis tarah paas hi
shahrag kay khuda rahta hai
Tum ko maloom bhi
shaid yah kabhi ho kay na ho
Tum ko maloom bhi
shaid yah kabhi ho kay na ho
meray angan kay
phool gawahi dain gay
main nay arsay
say kisi phool ko dekha bhi nahin
tujh ko socha to
tujh ko socha hai fakat
teray siwa kisi
or ko socha bhi nahin
Tum ko maloom bhi shaid yah kabhi ho kay na ho
·°―`··΄―°·
Top
Ghazal...
Waqt To Humey Bhula
Chuka Hai
Muqaddar Bhi Na Bhula De
Dosti Dil Se hum
Isiliye Nahin Karte
Kyunke Darte Hai,Koi Phir Se Na Rula De
Zindagi May Hamesha
Naye Log Milenge
Kahin Ziyada To Kahin Kam Milenge
Aitbaar Zara Soch Kar Karna
Mumkin Nahi Har Jagah Tumhe Hum Milenge
Khushbo Ki Tarah Aapke Paas Bikhar Jayenge
Sukon Ban kar Dil Me Utar Jayenge
Mehsoos Karne Ki Koshish To Kijiye
Door Hote Hoye Bhi Pass Nazer Aayenge
Duniya ko Dekhtey Rahey jis Nazar se Hum,
Us Aankh Mein Humarey liye Pehchan Bhi Na Thi
Yahan Kisi Ko Hasb-e-Arzoo Na Mila
Kisi Ko Hum Na Milay Aur...
·°―`··΄―°·
YAAD HAI...
Chupkey chupkey raat din Aansoo bahaana yaad
hai
hum ko ab tak aashiqi kaa woh zamaana yaad hai
Tujh sey milte hi woh be-baak ho jaana mera
aur tera daanton mein woh ungli dabaana yaad hai
kheench lena woh mera pardey ka kona daf'atan
aur dupattey se tera woh moonh chupaana yaad hai
Jub siwa merey, tumhaaraa koi diwaana na tha
sach kaho kiya tum ko bhi woh kaar-Khaanaa yaad hai
Ghair ki nazaron se bach kar sab ki marzii ke Khilaaf
woh tera chori chupey raaton ko aana yaad hai
aa gaya gar wasl ki shab bhi kahin zikr-e-firaaq
woh tera ro ro ke mujh ko bhi rulaana yaad hai
Do-pehar ki dhoop mein merey bulaaney ke liye
woh tera kothey pe nangey paaon aana yaad hai
chori chori hum se tum aa kar miley thay jiss jagah
muddatein guzreen par ab tak woh thikaana yaad hai
Berukhi ke saath sunaana dard-e-dil ki daastaan
aur tera haathon mein woh kangan ghumaana yaad hai
Waqt-e-rukhsat alvidaa kaa lafz kehnye ke liye
woh tere sookhey Labon ka thar-tharaana yaad hai
·°―`··΄―°·
Baat Nikley Gee Tou...
Baat Nikley gee tu Door talak jaaiey gee
Loug be-wajah Udaasi ka sabab poochein gey
Yeh bhi poochein gey ke
Tum itni parehsaan kiyon ho ?
Ungliyaan uthein gee sookhey huey baalon ki taraf
Aik nazar dekhein gey guzrey huey saalon ki taraf
Chooriyon par bhi kai tanz kiyey jaaien gey
Kaanptey haathon pe bhi Fiqrey kasey jaaien gey
Loug zalim hain........Hur aik baat ka taana dein gey
Baaton baton mein mera zikar bhi le aain gey
Unn ki baton ka zara sa asar mat lena
Warna chehrey ke Taassur se samjh jaaien gey
Chahey kuch bhi hon sawalaat na karna unn se
Merey baarey mein koi baat na karna unn se
Baat nikley gee tu phir door talak jaaiey gee
·°―`··΄―°·
Aankhein Bheeg Jaati Hain
Sumandar mein uturta hoon tu aankhein bheeg jaati hain
Teri aankhon ko parhta hoon tu aankhein bheeg jati hain
Tumhara naam likhney ki ijaazat chin gai jub se
Koi bhi lafz likhta hoon tu aankhein bheeg jati hain
Naa jaaney ho gaya iss qadar hassaas mein kub se
Kissi se baat karta hoon tu aankhein bheeg jati hai
Woh sub guzrey huey lumhaat mujhko yaad atey hain
Tumharey khut jo parhta hoon tu aankhein bheeg jaati hain
Mein saara din buhut masroof rehta hoon magar joonhi !!
Qadam chaukhut pe rakhta hoon tu aankhein bheeg jaati hain
Hazaaron mausumon ki hukmaraani hai merey dil pur
Wasi mein
jub bhi hansta hoon tu aankhein bheeg jaati hain
·°―`··΄―°·
Top
Kamaal-e-Zabt..
(Height
Of Patience)
Kamaal-e-zabt ko khud bhi tu aazmaaon gee
Mein apney haath se uss ki dulhan sajaaoon gee..
Supard kar ke ussey chandni ke haathoon mein
Mein apney ghar ke andhairon mein laut aaoon gee
Badan ke karb ko woh bhi samajh na paaiey gaa
Mein dil mein rauoon gee,aankhoon mein muskuraaoon gee
Woh kiya gaya keh rifaqat ke saarey lutf gayey
Mein kiss se rooth sakoon gee kisey manaaoon gee
Woh jhoot boley gaa aur lajawaab kardey gaa
Mein sach kahoon gee magar phir bhi haar jaaoon gee
Jawaaz dhoondh raha tha nai mohabbaton ka
Woh keh raha tha ke mein uss ko bhool jaaaoon gee
·°―`··΄―°·
Tum bin hum kaisay jiyay
Guzartay hain shab-o-sahar tumhian yaad
kertay howay
Tum kiya jano kay tum bin hum kaisay jiyay
Tum chal diyay humain younhin tanha
Chor ker
Jala kay in ankhon main Phir bhujay gay
diyay
Khamosh labon per muskurahat liyay
Ankhon main anso liyay
hum bohat bar in ansoon ko Zahar samajh
ker piyay
Tumhara ahsas rahay ga Humaisha meray
pass
Jeena hai humain is bewafa Zindagi kay
liyay
Tum aao ya na aao .. Is dil ko intzar
rahay ga
Kyon najanay Dil nay is zindagi say
shikway kiyay
Hum to masoom thay Zamanay kay atwar
bhi na samjhay
Kuch bhi na manga jis say , Chahton kay
yah silay diyay
Sab jeetay hain apnay liyay, Koi nahin
merta kisi kay liyay
Per !! Tum kiya jano tum bin Hum kaisay
jiyay
·°―`··΄―°·
Kuch toot gaye
hain kucn...
Kuch toot gaye hain kuch khuwab baaqi hain
Maazi ki wafaoon main kuch sarab baaqi hain
Ab bhi wazey nahin hui tasveer zindage ki
Der perda ab bhi kuch naqaab baaqi hain
Her sawal apni jaga joon ka toon raha
Zabaan pay shikayaton kay kuch jawab baaqi hain
Khali hua behtey behtey yaad main behta sagar
Phir bhi nigahon main kuch sailaab baaqi hain
Maaf kiya khoon-e-jigar apna kisi dosti ko
Tu usi dosti say kuch hisaab baaqi hain
Kisi ka aasmaan tareekiyon ka ujala ban gaya
kahin bay-rukhi kay kuch mehtaab baaqi hain
Mar bhi nahin saktey ab to sukoon-e-zalim
Hasratain reh jaain gee kuch hijaab baaqi hain
Musalsal jal rahay aatish-e-ishq kay angaroon main
Parastish kay aur bhi kuch aadaab baaqi hain
Kaghaz kay nazaron say mehak aaye gee kaisay
Haqeeqat kay guldanoo main kuch gulaab baaqi hain
Kuch toot gaye hain kuch khuwab baaqi hain
Maazi ki wafaoon main kuch sarab baaqi hain ....
·°―`··΄―°·
Ghazal...
Hum Safar Gham Jo Mohabaat Mein Diya Hai Tumne
Yeh Bhi Mujhpar Bada Ehesaan Kiya Hai Tumne
Ek Muddat Se Isi Din Ki Thi Hasarat Dil Mein
Aaj Mein Khush Hun Ke Deewana Kaha Hai Tumne
Jab Bhi Takarai Mere Jism Se Yeh Shuokh Hava
Mujhko Mehasoos Hua Ke Chuaa Hai Tumne
Kya Mere Dil Ke Dhadakane Ki Hi Awaaz Hai Yeh
Ya Ke Phir Kaan Mein Kuch AaKe Kaha Hai Tumne
Hitchkiyan Bhi Kabhi Kambhakt Nahin Aati Hai
Jo Yeh Sochon Ke Mujhe Yaad Kiya Hai Tumne
·°―`··΄―°·
Humkin Ho Aap...
Mumkin Ho Aap Say Tu Bhula Dijiye Mujhay
Pathar Pay Hoon Lakeer, Mita Dijiye Mujhay
Har Roz Mujh Say Taaza Shikayat Hai Aap Ko
Main Kia Hoon, Aik Baar Bata Dijiye Mujhay
Maray Siwa Bhi Hai Koi Mozoo-e-Guftugu
Apna Bhi Koi Rang Dikha Dijiye Mujhay
Main Kia Hoon, Kis Jagah Hoon, Mujhay Kuch Khabar Nahin
Hain Aap Kitni Duur Zara Sada Dijiye Mujhay
Ki Main Nay Apnay Zakham Ki Tash'heer Jaa Baja
Main Maanta Hoon Jurm, Saza Dijiye Mujhay
Qaim Tou Ho Sakay Koi Rishta Gohor K Saath
Gehray Samandaron Main Baha Dijiye Mujhay
Shab Bhar Kiran Kiran Ko Tarasnay Say Faida
Hai Tairgii Tou Aag Laga Dijiye Mujhay
Jaltey Dinon Main Khud Pass-e-Deewar Baith Kar
Saaye Ki Justuju Main Laga Dijiyey Mujhay
Youn To Shola-e-Jaan Sard Ho Chuka
Laikin Sulag Uthoon Tou Hawa dijiye Mujhay
Top
Rabb kare tu
sada hasdi rahe,
koi dukh tere nere vi na aave,
hor ki dua manga rabb to,
tenu sadi vi umar lag jaave
!!!
·°―`··΄―°··°―`··΄―°··°―`··΄―°·
Salamat rakhin mere yaar nu Rabba
Salamat rakhin mere yaar nu Rabba,
Dukh hove na kade naseeb uss nu,
Lakh dooriyan hon sade vich bhawen,
Rakhin dil de sade kareeb uss nu