Some Shairs Of My Choice

                      

 

  Ch'shame purnum kharid sakta houn,

Zulf burnum kharid sakta houn

 Gar 'Khushian' bik jaain merin

  App ka 'Ghum' kharid sakta houn

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Ghazzab kia teri yaad ne mujhe Aa staya Namaz mein

Mere woh sajjade bhi kazza hue, jo Ada hue the Namaz mein

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Na tha wasta koi shair se na tha shairi se mein asha'na

Tere dard ne, teri yaad ne mujh ku "Sha'eer" kehna sakha dia

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Sunte hain mil jati hai har cheez dua se

dekhain gay ik din tujhe bhi hum mang kar "KHUDA" se

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Aankhon ka fareb hai ke aaks-e-jammal hai

Aati hai kyun nazar 'Teri Surat' jaga jaga

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Dekh kar teri be-rukhi herat hui mujhe

Dunia tu 'Be-Wafa' thi magar kia hoa tujhe

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Baal bikhre hue,tuti "Kabroon" pe,jab koi Ma' Jabeen roti hai

mujhku ye khiyyal aata hai "Mout" kitni haseen hoti hai

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Woh Cha'sham mast kitni khabbar dar thi Nadeem

Khud "Hoosh" mein rahi, hamein bad-naam kar gai

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Is Sadagi pe kaun na mar jaye Aa KHUDA

ladte hain aur hath mein talwaar bhi nahi

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Mein Jaha'n ki sari khushiyaan tere naam luta doon

Tou kahe tu "KHOON" se teri zindagi sanwaar doon

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Resh'meen "ZULFAIN" Sharb'ti "AAKHEIN" koi in ku chota hoga

LUB(lips) hilte hoon ge, koi tu kismat wala "SUNTA" hoga

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Jab kabi Sahil se lepat jata hai "SAMENDER" ka "SHAB'AB"

Dur tak mouj ke "RONE"ki SADDA aati hai

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Khiyyaloon mein aana hai tu "TERNA" sekh lu

mere "ASHKOON" ke samender mein "TUM" aksar doob jati ho

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Woh rang hai, khushboo hai ke jhonka ha'wa ka

woh mere Taswar se bar kar "HASEEN"niklaa

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Kitne rangoon ku milla kar teri tasweer bani

phir bhi ik RANG-E-WAFA kam sa nazar aata hai

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Zakh'm kha kar musk'rana tu bhi hum se seekh le

"ISHQ" ki azmaat barh'ane ka yahi andaaz hai

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Aakhein hi eeya'n karti hain sub "DIL" ke chupe raaz

kyun tujh ku yaqeen meri "NAG'HOON" pe nahi

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Teri "HANSEE" se tu meri sha'kist hi behter

meri sha'kist mein thora sa "ETMAAD" tu hai

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Tou "SANAM" hai karoon kis ke hawale tujh ko

Toor dalein na kahin "PUJ'NE" wale tujh ko

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Woh jin ku dekh kar dil mein KHUDA ki yaad aye

Hum un "BOT'ON"(Statue) ka eht'raam karte hain

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Tuba ke torne ki niyaat tu na thi magar

Gar musam ka eht'raam na karte tu ZALAM tha

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Top

Ghum-e-hayaat se far'hath na mil saki warna

Ye zindagi teri aakhoon mein hum da'bo dete

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Jhoti tasaliyoon ke siwa kuch na de saka

Kismat ka dewta bhi tu shayad ghareeb tha

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Dil be huslaan hai ik zara si tes ka mehmaan

woh aansoo kia piye ga jis ku ghum khana nahi aata

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Baithey Baithey Ghabraaey Hum
Jaaney Kissey Yaad Aaiey Hum

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Yeh Soch ke hum ne Jaan de di
Mayyat pe meri "Woh" aaey gaa

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Mujh ko mehsoos hua hai aksar
' Toou ' Mujhey dekh raha ho jaisey

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Pehli si ab Milaap ki soorat nahin rahi
Aik doosrey ki Hum ko zuroorat nahin rahi

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

" Uss" sey Aik baar tou roothoon Mein, Ussi ki tarha
Aur Meri tarha sey " Woh " Mujh ko manaaney Aey

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Hur lafz kitaabon mein Tera Aks liyey hai
Aik phool sa Chehra Mujhey parhney nahin deta

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Taqdeer bananey waley, Toou ne Kumi na ki

Ab kiss ko kya mila, Yeh muqadder ki baat hai

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Mujhey tou Apnon ne loota, Ghairon mein kahaan Dum tha

Meri kashti thi doobi wahaan, jahaan Paani kum tha

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Merey Khuda, Mujhey itna tou Mo'tabar kar dey
Mein jiss ' Makaan ' mein rehta hoon, uss ko ' Ghar' kar dey

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

bhool janay ka tujay kasay taswar ker loon

meri her saans se wabsta hain yadain teri

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

bikhroon ga ik baar to na aa sakoon ga haaath

aay dost ahtyaaat se thoker lagna mujay

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Ruka hua hai ajab Dhoop chhaa'on ka Mausum
guzar raha hai koi dil sey Baadalon ki tarah

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Mein nay dushman ko bhi ahsaas-e-mohabbat bakhsha
Merey apney Mujhay Nafrat ki saza daitay hain

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Ab Dil ko Intezaar ki Aadat si hogaee
Yeh haal kardiya hai, Terey intezaar nay

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Na beeti thi kabhi jiss ki Chaand raat, Uss ki
Suhaag Raat Humaarey baghair Beet gai

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Shab-e-Wisaal mein roshan charaagh gul kar do
Khushi ki buzm mein kya kaam jalney waalon ka

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Sab kuch Khuda sey maang liya Tujh ko Maang kar
Uth'tay nahin hain haath Merey, Iss Dua ke baad

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

' Woh' jinn ki khaatir, Hum ne saari sarhadein toreen
Unhi ne Aaj kaha hai ke apni " Had " mein raho

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Hai Dil ko yaqeen, aaein gey woh laut ke aik Roz
Jaisey woh koi cheez yahaan bhool gaey hon

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

tor gay pemanay wafa is dor main kasay kasay log

yeh mat soch kateel ke bas ik yaar tera herjai hai

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Toofaan kar raha tha Merey Azm ka tawaaf
Duniya samajh rahi thi ke, Kashti bhanwar mein hai

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

hum nay kab un say mulaqat ka wada chaha

doooor rah kai unhain aur bhee ziada chaha

yaad aaya kuch aur bhee shidat say

      bhool janay ka jab hum nay irrada chaha

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Top

Jab bhi aata hai Tera naam, Merey naam ke saath
Jaaney kiyon laug "Merey" Naam sey jal jaatey hain

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Doobna hi tha jo Kashti ka Muqaddar, Ya Rub
Aankh ke saamney, Aey Kaash, Na Saahil hota

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Manzil safar mein thi, qadam faaslon mein tha
Mein door tha zaroor, Magar Raaston mein tha

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Mujhey Yaqeen tou nahin magar Yahi sach hai
Mein terey waastey Umrein guzaar sakta hoon

Yahi nahin ke tujhey jeetney ki khawaahish hai
Mein terey waastey khud ko bhi haar sakta hoon

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Dua ke liyey Haath kab uthaana tha
woh tou moonh chhupaaney ka aik bahaana tha

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Liptay kabhi Shaanon'n sey kabhi Zulf sey uljhay
Kiyon dhoond'ta rehta hai sahaarey Tera aanchal

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Jab tak bikey na thay Hum, koi poochta na tha
Toou ne Khareed ke Humein Anmol kar diya

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Mein khud pehel karoon yaa UDHER se ho Ibteda
Barson guzar gaey hain yahi sohtey huey

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Khaamosh tum thay aur merey Hont bhi bund
Phir itni dair kaun tha jo bolta raha ??????

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

wo dosti to kher ab naseb-e-dushmana hoi

wo choti choti ranjashoon ka lutaf bhi chala gaya

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Badla wafa ka dein gey bari Saadgi se Hum
Tum "Hum " se rooth jaao gey aur Zindagi se Hum

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Seeney se merey Zeher utarney nahin detey
Zinda rahein woh loug jo marney nahin detey

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Be-Aetebaar waqt pe Jhunjla ke ro parey
Kho ke kabhi ussey tou kabhi Paa ke ro parey
Kab tak kissi ke soug mein rouein gey umer bhur
Hum khud ko kitni baar yeh samjha ke ro parey

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Merey Daamun mein tou kaanton ke siwa kuch bhi nahin
Aap Phoolon ke kharidaar nazar aatey hain

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

yun chahatoon ke baat na ker tu mujhay azma k dekh lay
main bay sabab uddass hoon ik baar muskara k dekh lay

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

mein jisay pyaarkaa andaaz samajh bethee hoon
woh tabassum woh takallum teree aadat hee na ho

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Ahsaas kaa andaaz badal jaata hai ,Warna
aanchal bhi ussi taar se banta hai, kafan bhi

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Main us kay pyar say kiun bad guman huwa hoon aaj
Kay us nay toot kay chaha to mujhay kal bhi na tha

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

yahaan kisi ko bhi kuch hasb-e-aarzoo na mila
kisi ko hum na miley aur hum ko toou na milaa

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Tootay huway khaboon ki chubhan kam naheen hoti
Ab ro kay bhi aankhoon ki jalan kam naheen hoti

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Shaam hotey hi charaaghon ko bujha detaa hoon
Yeh dil hi kaafi hai teri yaad mein jalney ke liye

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Saara Shehar uss ke "Janaazey" mein tha shareek
"Tanhaaiyon" ke khauf se jo shakhs mar gaya

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Acha Khaasa baithey baithey "Gum" Ho jaata hoon
Ab Mein aksar "Mein" nahin rehta, "Tum" ho Jaata hoon

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Top

 Apni Zaat ke mehwar mein tujhey Zum kar loon
Ibaadaton mein tera Ishq bhi raqam kar loon
Terey Ashkon se ho agar "Wazoo" na-mumkin
Mein terey Jissm Ki Matti se "Tayamum" kar loon

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Meray dil ki Dharkanon main Uter sako to jaan lo

Kitni khamoosh mohabbat kerta hai koi tum say

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Uss ke haathon mein Gulaabon ki Mehek hai shayed
Uss ke chhooney sey hua hai Gulaabi Kaghaz

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Aana jo meri Qabar pe, "Ghairon" ko na laana
" Murdey " Ko musalmaan Jalaaya nahin kartey

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Shumm'a Jalti hai , Parwaaney chaley Aatey hain
Sar ke Bul ISHQ ke Deewaaney chaley aatey hain
Ab tu Aajaao meri jaan, ke Janaaza uthney ko hai
Loug tu ghairon ko bhi dafnaaney chaley aatey hain

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Mujh ko paana hai tou phir Mujh mein utar kar dekho
Yoon Kinaarey sey Samandar nahin dekha jaata

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Mein kissi Sheher mein jab bhi koi Rusta poochoon
Jaaney kiyon laug Terey ghar ka pata detey hain

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Zakhmi Huey Jo Hont Tu Mehsoos Yeh Hua
Chooma Tha Mein Ne Phool Ko Deewangi ke Saath

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Mein aik Aansoo hi sahi, hoon buhut Anmol magar
Yoon na Palkon sey gira kar Mujhey matti mein mila

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Sab ke honton pe tabassum tha merey Qatal key baad
Jaaney kiya soch ke rota raha
Qatil
Mera

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

yah bhi aadab humaray hain tumhain kiya maloom
hum tumhain jeet kay haray hain tumhain kiya maloom
ik tum ho kay samajhtay nahin apna hum ko
werna hum sirf tumharay hain tumhain kiya maloom

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Jaaney Uss shakhs ko kaisa yeh hunar aata hai
Raat hoti hai tou, aankhon mein utar aata hai

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Meri Takmeel mein Hissa hai Tumhara bhi buhut
Mein agar Tum sey na milta tou Adhoora rehta

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Top

kal becherna hai to Ahed-e-Wafa soch kay Bandh

abhi agaz-e-mohabbat hai...Giya kuch bhi nahin

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Waada "Woh" kar gaiey hain ke "Aain ge Khawaab mein
Mujhe khushi ke neend naa aiey tu kiya karoon

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Merey Mehboob , iss qadar Mein tujh se Pyar karoon
"Toou" agar jhoot bhi boley tu Aitebaar karoon

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Shaakh se katney ka ghum , unn ko buhut tha
Phool majboor thay, hanstey rahey Guldaanon mein

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

~ Ander lagi thi Aag magar be-khabar thay Log
Jultey huey Makaan ke bahar Dhooaan na Tha

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Qaateel Apna Muqadder GHUM Sey Begana Ager Huta

           Tu Phir Apney Paraey Hum sey Pehchaney Kahan Jatey

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Ay Khat Khata na Kerna Kadmoun Main Jaa Girna

Mera Haal Ager Who Puchain Tu Jhuk Key Salam Kerna

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Sabhi nagme saaz mein gaye nahi jaate,

Sabhi log mehfil mein bulaaye nahi jaate,

Kuch paas reh kar bhi yaad nahi aate,

Kuch dur reh kar bhi bhoolaye nahi jaate

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Aik cheez Qayaamat bhi hai, Laugon sey suna kartey thay
Tumhein dekh ke Mein ne maana, woh theek kaha kartey thay

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Ya khuda log banaaye thay agar pathar kay
Meray ahsaas ko sheesha na banaya hota

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

kal Dhoop kay Mailey say khareedey thay khiloney
Aik mom (wax) ka putla tha jo Ghar tak nahin pohancha

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Yeh Fakhar tou haasil hai, Burey hain ke bhaley hain
Do chaar Qadam Hum bhi, Terey saath chaley hain

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

kaun jane kab maut ka paigam aa jaye,

zindagi ki akhari sham aa jaye,

hum tou dhundte hain waqt aisa jab,

hamari zindagi apke kam aa jaye

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*  

Top

Chehrey ka nisf hissa, Zair -e- Naqaab kar ke
Kartey hain Husn waaley , Deedaar mein milaawat

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Kabhi kabhi tou chalak parti hain yoonhi be-sabab aankhein
Udaas honey ka koi sabab nahin hota
Mein Waledain ko yeh baat kaisey samjhaaoon
Mohabbaton mein " Hasab Nasab " nahin hota

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

nigahe app ki pehchan hai hamari

muskurahat appki shaan hai hamari

kerna hifazat tum apni

kyunki saanse appke jaan hai hamari

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Haath Uss ke bhi huey hon gey yaqeenan Zakhmi
Jiss ne Kaantey Meri Raahon mein bich'haaey hongey

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Aik Deewaana yeh kehtey huey hansta jaata
Kaash Manzil sey bhi Aagey koi Rusta jaata

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Dhoondta phirtaa hoon Mein logon mein shabahat uss ki
ke woh Khawaabon mein bhi lagti hai Khayaalon jaisi

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Hum " Aah" bhi kartey hain tou, ho jaatey hain Bud naam
Woh Qatal bhi kartey hain tou, Churcha nahin hota

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Tumhari Yaad Ki Shama Hamarey Dil Main Roshan Hai
Issey Khud Hi Bhuja Jana Kabhi Aana Hawa Ban Kar

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Aapne apni aankhon me Nur chupa rakha hai,

 Hosh walon ko Diwana Bana Rakha hai,

Naz kaise na karu Aapki Dosti par,

Mujh jaise Nachiz ko "KHAAS" Bana Rakha Hai..

 

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Ek Naam Kya Likha Tera Saahil Ki Rait Par
Phir Umar Bhar Hawa Se Meri Dushmani Rahi

*~*~*~                *~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Mast Nazron se dekh lenaa tha
Agar tamanna thi aazmane ki
Hum to behust youn hi ho jaate
Kya zaroorat thi muskurane ki

*~*~*~*~*         *~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Tehni sey aik phool ki Patti bhi jab giri
Unn ke Qadam ki chaap ka dhoka hua Mujhey

*~*~*~*~           *~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Top

 Aaney ka waada moonh se tu Unn ke nikal gaya
poochi jagah jo mein ne, kaha hans ke, "Khawaab mein"

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Woh Khush-jamaal Jab bhi Tasawur mein Aa gaya
Aanchal ko Sar pe rakh diya, Hum ne Hayah ke saath

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Chehrey Per Banawat Ka Ghussa,
Aankhon Say Chalakta Pyar Bhi Hai
Is Shauq-E-Ada Ko Kya Kahiye
Inkar Bhi Hai Iqraar Bhi Hai

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Jo Saaz Se Nikli Hai, Woh Sada Sab Ne Suni Hai
Jo Saaz Pe Guzri Hai, Woh Kis Dil Ko Khabar Hai

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Raste Main Gire Hain Phool, Uthata Hai Koi Koi
Muhabbat Karte Hain Sabhi, Nibhata Hai Koi Koi

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Shumaar uss ki sakhaawat ka kiya karoon ke woh shakhs
Charaagh baant'ta phirta hai Cheen kar Aankhein

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Jab Se Hua Hai Woh Khwab Ki Tarah
Zindagi Guzar Rahi Hai Azaab Ki Tarah
Khushbu Ke Kalam Se Shayad Likha Tha Usne Khut
Har Lafz Mahak Raha Hai Gulab Ki Tarah

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Kab tak kissi ke Soug mein Roain gey baith kar
Hum khud ko kitni baar yeh samjha ke ro parey

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Mujh Se Mut Pouch, Mere Dil Ki Kahani O Hum-Dum
Is Main Kuch Parda-Nashinon Ke Bhi Naam Aate Hain

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Hum se aik baar bhi jeeta hai, naa jeetey ga koi
Woh tu hum jaan ke kha letey hain Maatein aksar

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Neendain meri Aankhon se churaata hai wohi shakhs
So jaaoon tou khawaabon mein bhi aata hai wohi shakhs
Hur zakhm ka khaaliq bhi koi aur nahin hai
hur zakhm pe marhum bhi lagaata hai wohi shakhs

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Parda tu kia jata hai HOOSH waloon se

Hum tu NASHE mein hain be khoof chale hao

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Top

Hum Jeisay Bhi Hein Bhaley Hein ke Burey Hein
Hum Khud Ko Nahein Dekhtay Auroon Ki Nazer Se

 

 

 

         

                       

 

                     Copyright © Nadeem