Sad

                           

My Collection

It hurts to love someone.....

 

Aati hai yaad Aksar, Rotey hain be-basi mein

Aik Be-Wafa ko Hum ne, Chaaha tha Zindagi mein

•·.·΄―`·.·••·.·΄―`·.·••·.·΄―`·.·••·.·΄―`·.·•

ansoon nikal gay to mari laaj rah gai

werna izhar-e-gam ka salika na tha mujay

 

Tujhey Ishq Ho...

Tujhey Ishq Ho Khuda Karey
Phir Khuda Tujhey Uss Say Jooda Karey

Tu Paa Kar Bhi Ussey Paa Na Sakey
Tu Bichar Kar Bhi Uss Say Juraa Rahey
Tu Uss Say Milnay Ki Dua Karey
Wo Tujh Say Bicharney Pay Iktafa Karey

Tu Keh Kar Bhi Khuch Keh Na Sakey
Teri Choop Har Pal Aessi Sadaa Karey
Tu Har Dam Zindagi Say Gilla Karey
Teri Mot Tujh Say Khaafaa Rahay

Tu Marney Ki Din Raat Dua Karey
Mera Rabb Teri Umer Daraz Karey
Terey Haath Bhi Khuch Yoon Khali Rahein
Tera Daaman Khushiyon Say Bhara Rahay
 

Teri Hasraton Ko Na Kahein Dawa Miley
Tujhay Musaraton Ka Ajnabi Jahan Milay
Terey Dard Ka Sehraa Bay Aab Rahay
Tu Aanso Ki Ik Boond Ko Tarsaa Karey
 

Na Kisi Ki Wafaa Say Tujhay Gharaz Rahay
Na Kisi Ki Jafaa Ka Hi Tujhey Gilaa Karey
Mera Rabb Teri Khalwat Ko Aabad Karey
Tu Bhari Mehfil Mein Bhi Tanhaa Rahey

Teri Tadbeer Ko Aesii Maat Milay
Tu Ishq Ko Aqal Say Jooda Kahey
Tujhay Ishq Mei Aesaa Arooj Milay
Tu Pasti Mein Boolandi Say Baha Karey

Mein Kahoon K Ishq Dhong Hay
Tu Anal Haq Kehtey Mara Karey
Tu Mizaaron Pay Jaa Jaa K Duaa Karay
Tu Kutbon Pay Likhi Tehreer Parha Karay

Merey Humnafas Hay Meri Ye Dua
Raab Hamein Aesaa Dil Aataa Karey
Mein Rahoon Na Rahoon Tu Rahay Na Rahay
Yay Daastaan Ussi K Naam Say Zinda Rahay

Tujhey Ishq Ho Khuda Karey
Phir Khuda Tujhey Uss Say Jooda Karey...

·°―`·••·΄―°·

Tumhain Dillagi...

 

Tumhain dillagi bhool jaani paray gi
Muhabbat ki rahoon main aa kar tu daikhoo
Tarapnay pay meray na phir tum hansoo gay
Kabhi dil kissi say laga kar tu daikhoo

wafaoon ki ham say tawaqo nahi hay
magar aik baar aazma kar tu daikhoo
zamanay ko apna bana kar tu daikha
humain bhi tum apna bana kar tu daikhoo

ham na samjhay teri nazroon ka taqaza kia hay
kabhi parda kabhi jalwa yeh tamasha kia hay
jaan-e-jaan ham say yeh uljhan daikhee nahi jaatee
khuda k liay chour do ab yeh parda
keh hain aajj ham tum nahi ghair koi
shab-e-wasal bhi hay hijaab is qadar kion
zara rukh say aanchal utha kar tu daikhoo

jafaian bohat ki boohat zulam dhaiay
kabhi ek naga-e-karam is taraf bhi
humaisha huway daikh mujh ko barham
kissi din zara muskura kar tu daikhoo
jop ulfat main har ek sitam hay gawara
yeh sab kuch hay pass-e-wafa tum say warna
satatay hoo din raat jis tarhaan mujh ko
kissi ghair ko youn sata kar tu daikhoo


agarcha kissi baat par woh khafa hain
tu acha yehi hay tum apni si kar loo
woh manain na maian yeh marzi hay un ki
magar un ko pur nam mana kar tu daikhoo


Tumhain dillagi bhool jaani paray gi
Muhabbat ki rahoon main aa kar tu daikhoo

·°―`·••·΄―°·

Aaj Udhas hoon...

Aaj udhas hoon to zamana mujhey phochne aya ..
Magar Jis pe tha sadiyon ka bharam woh nahi aya..

Woh to ek khuwaab tha toot gaya bikhar gaya hai..
ajj udhas lamhon main phir kyon mujhe woh yaad aya..

Zindagi ki musafit ke woh chand din jo guzar chuke hain..
na hi un pe urooj aya,our na hi un pe zawaal aya...

Bhool na chahta hoon har lamha,har waqt jo guzar gaya hai..
jitna bhi roka woh waqt utna mere sath chala aya...

Guzra hua kal na tha mera,na hai mera our na ho ga kabhi...
yeh mein janta hoon magar phir bhi na dil ko karaar aya ..


woh wade teray woh kasmein woh sab yaad hain mujhe...
magar phir bhi kabhi tum ko mera dil na bhula paya..

Aana paye the tum to khudaar tha main bhi
yeh rishta hi humare dermiyan na raas aya..

us ki muskurahat tere liye ek fareb thi .........
tu tha nadan,dil tera usse na samajh paya

·°―`·••·΄―°·

Top

Yaadoon Se Rishta...

 

Yaadoon se rishta kal bhi thaa yaadoon se rishta aaj bhi hai
Dil kal bhi apna dukhta thaa aur afsurdaa sa aaj bhi hai

Woh ishq jo hum tum karte thay woh ishq tu zinda ab bhi hai
Kal tak jo hijar sataata thaa us hijar ka pehra aaj bhi hai

Tum door huye majboori mein hum toot gaye is doori mein
Kabhi waqt mile tu aa jaana dil ka darwaaza khula aaj bhi hai

Woh saahil woh geeli mitti, mitti ke gharonde saahil per
Woh naam darakhtoon per likhna woh khwaab suhaana aaj bhi hai

Tum khush rehna dil ki duniya apni tu chalo barbaad hoi
Dil gham ka maara kal bhi thaa aur gham ka maara aaj bhi hai

Yeh ashk nahin hain aankhoon mein yeh taaray jhilmil karte hain
In aankhoon mein jo kal tak thaa woh chaand sa chehra aaj bhi hai

Ab shikwa kisi se kya karna taqdeer mein jo likha thaa mila
Gham kal bhi mera sarmaaya thaa gham mera warsa aaj bhi hai

·°―`·••·΄―°·

Os Ke Bina...

 

Os ke bina ab chup chap rehna acha lagta hai,

Khamoshi sey dard ko sehna acha lagta hai,

Jis hasti ki yaad mein Aanso barstey hain,

Samne os ke kuch naa kehna acha lagta hai,

Mil kar os se Bichar naa jaaon darta rehta hon,

is liye bas door hi rehna acha lagta hai,

janta hon keh chahat mein bas Aanso milte hain,

Kuch bhi ho ab is zehar ko peena acha lagta hai,

Je chahey sab khushiyan laa kar os ko de doon,

Os ke pyaar mein sab kuch khona acha lagta hai,

Os ka milna naa milna Qismat ki baat hai,

Pal Pal os ki yaad mein roona acha lagta hai,

Os ke bina sab khushiyan Abid Ajeeb si lagti hain,

Roo Roo kar os ki yaad mein sona acha lagta hai

·°―`·••·΄―°·

Hum Roo Na Sakey...

Ghum Mila Toh Ro Na Sakey..
khushi Mili To Hans Na Sakey..
Yeh kaisa Raaz Hey Zindegi Ka..
Ham Samaj Na sakey..
jis ko chaha..Apna Na bana sakey...
Aap chale Gayen..
Phir Bhi Dil se Nikhaal Na sakey..
Par jab Aap The..
Pass Bhi Na Aa sakey..
Ab Aapki YaadoOn ko..
Seene Se Lagaake Phirthey Hain..
Saamne Aap ko Paa kar Bhi..
Gale Na Lagaa sakey..
Yeh kaisa Raaz Hai Zindagi ka..
Ham na Samaj sakey..
jis Ko Chaha Aapna Na Bana sakey..
Ab Palko ko Band karke ..
Pal Mein Apke pass Hote Hein..
Magar jab Ankhon ke Samne Thay..
jee Bhar ke Dekh Bhi Na sakey..
Dil Dard se Bharaa Huaa Tha
Lekin Ro Na sakey..
Yeh kaise Raaz Zindegi ka..
Ham Na Samaj sakey..
Na Chup Rah Sakhe Na Pyar jataa sakey..
Ab Aap K Saath ke Liyeh..
Har Pal Tarapte Hein..
Magar jab Aap Tarap Rahey the..
To Saath Na Desakey..
Dil To Rotaa Rahey Par..
Ankhon Se AnsoO Na Bahein..!!
Pyaar K is Riwaj ko Na Samaj sakey..
Dil itni Chot Khakar Bhi..
Aap Hee ko Chhahta kyon Hai..
Hum Samaj Na sakey..
Aap ke Laakh inkaaron K Baad Bhi..
Aap Hamarey Nahin Hein!
Ye.. Dil ko Samjha Na sakey..
Laakh Chaaha Humne..
Phir Bhi Aapko Bhula Na sakey...
Aap Humein BhoOl Gaey..
Magar Hum Na BhoOla sakey..
Jaise Khuwaab Zindagi..
Aur Zindagi khuwaab Na HoO sakey..
Waise Aap Hamare Na HoO Sakey..
Aur.....

HUM KISI AUR KE NA HoO SAKAY..!!

·°―`·••·΄―°·

Ghazzal...

Do ashq meri yaad mein bahaa dete to kya jaata...?
Chaar phool meri laash par charhaa dete to kya jaata...?

Aaye ho meri mayyat par naqaab daal kar sanam
murdon ko chaand ka tukda dikhaa dete to kya jaata...?

Poochte hain tumse log kiska ye janaza hai ?
Marne waala kaun tha ? bataa dete to kya jaata...?

Keh rahi hai sab kahani tere haathon ki heena
Kisi aur din ye kissa sunaa dete to kya jaata...?

Meri saans rukte hee mera dam nikaalte hee
Meri duaa ko haath tum utthaa dete to kya jaata...?

Jaan de di ………hum ne tumhari hi mohabbat mein
Ik chiraag tum Qabar par jalaa dete to kya jaata...?

·°―`·••·΄―°·

Top

Teri Yaad Ney...

Teri yaad nay meray dil ko saja rakha hai

teray pyar main sab ko bhula rakha hai

kuch acha nahin legta teri judai kay baad

ek teri yaad ko sinay say laga rakha hai

tera milna to abb aik khawab hi lagta hai

najanay abb kyoon dil ko bhula rakha hai

sab kuch lut gaya hamara teray pyar main

teri yaad ko palkoon main chupa rakha hai

muqadar say miltay hain bichar kay warna

ajj bhi tera naam dil main saja rakha hai

najanay koi nahin basta teray siva ankh main

aik teri tasveer ko dil main chupa rakha hai

·°―`·••·΄―°·

Socha nahi tha..

Terey baarey mein jab, socha nahin tha
Mein tanha tha magar, itna nahin tha

Teri tasveer sey karta tha baatein
Merey kamrey mein Aaina nahin tha

Mein tanha tha magar, itna nahin tha

Samander ne Mujhey, Pyaasa hi rakha
Mein jab Sehra mein tha, Pyaasa nahin tha

Mein tanha tha magar, itna nahin tha

Manaaney roothney ke khail mein Hum,
Bichhar jaaein gey, Yeh socha nahin tha

Mein tanha tha magar, itna nahin tha

Suna bund kar leen, Uss ne Aankhein
Kai Raaton sey Woh, soya nahin tha

Mein tanha tha magar, itna nahin tha

·°―`·••·΄―°·

Tum ko Maloom be shaid ho..

tum ko maloom bhi shaid yah kabhi ho kay na ho

meri raatain teri yadon say saji rahtin hain

meri sansain teri khushbo say basi rahtin hain

meri ankhon main tera sapna saja rahta hai

Han meray dil main tera akas basa rahta hai

Is tarah meray dil kay bohat pass ho tum

jis tarah paas hi shahrag kay khuda rahta hai

Tum ko maloom bhi shaid yah kabhi ho kay na ho

Tum ko maloom bhi shaid yah kabhi ho kay na ho

meray angan kay phool gawahi dain gay

main nay arsay say kisi phool ko dekha bhi nahin

tujh ko socha to tujh ko socha hai fakat

teray siwa kisi or ko socha bhi nahin

Tum ko maloom bhi shaid yah kabhi ho kay na ho

·°―`·••·΄―°·

 Top

Ghazal...

Waqt To Humey Bhula Chuka Hai
Muqaddar Bhi Na Bhula De

Dosti Dil Se hum Isiliye Nahin Karte
Kyunke Darte Hai,Koi Phir Se Na Rula De

Zindagi May Hamesha Naye Log Milenge
Kahin Ziyada To Kahin Kam Milenge

Aitbaar Zara Soch Kar Karna
Mumkin Nahi Har Jagah Tumhe Hum Milenge

Khushbo Ki Tarah Aapke Paas Bikhar Jayenge
Sukon Ban kar Dil Me Utar Jayenge

Mehsoos Karne Ki Koshish To Kijiye
Door Hote Hoye Bhi Pass Nazer Aayenge

Duniya ko Dekhtey Rahey jis Nazar se Hum,
Us Aankh Mein Humarey liye Pehchan Bhi Na Thi

Yahan Kisi Ko Hasb-e-Arzoo Na Mila

Kisi Ko Hum Na Milay Aur...

·°―`·••·΄―°·

YAAD HAI...

Chupkey chupkey raat din Aansoo bahaana yaad hai
hum ko ab tak aashiqi kaa woh zamaana yaad hai

Tujh sey milte hi woh be-baak ho jaana mera
aur tera daanton mein woh ungli dabaana yaad hai

kheench lena woh mera pardey ka kona daf'atan
aur dupattey se tera woh moonh chupaana yaad hai


Jub siwa merey, tumhaaraa koi diwaana na tha
sach kaho kiya tum ko bhi woh kaar-Khaanaa yaad hai

Ghair ki nazaron se bach kar sab ki marzii ke Khilaaf
woh tera chori chupey raaton ko aana yaad hai

aa gaya gar wasl ki shab bhi kahin zikr-e-firaaq
woh tera ro ro ke mujh ko bhi rulaana yaad hai

Do-pehar ki dhoop mein merey bulaaney ke liye
woh tera kothey pe nangey paaon aana yaad hai


chori chori hum se tum aa kar miley thay jiss jagah
muddatein guzreen par ab tak woh thikaana yaad hai

Berukhi ke saath sunaana dard-e-dil ki daastaan
aur tera haathon mein woh kangan ghumaana yaad hai

Waqt-e-rukhsat alvidaa kaa lafz kehnye ke liye
woh tere sookhey Labon ka thar-tharaana yaad hai

·°―`·••·΄―°·

Baat Nikley Gee Tou...

Baat Nikley gee tu Door talak jaaiey gee
Loug be-wajah Udaasi ka sabab poochein gey

Yeh bhi poochein gey ke
Tum itni parehsaan kiyon ho ?

Ungliyaan uthein gee sookhey huey baalon ki taraf
Aik nazar dekhein gey guzrey huey saalon ki taraf

Chooriyon par bhi kai tanz kiyey jaaien gey
Kaanptey haathon pe bhi Fiqrey kasey jaaien gey

Loug zalim hain........Hur aik baat ka taana dein gey
Baaton baton mein mera zikar bhi le aain gey

Unn ki baton ka zara sa asar mat lena
Warna chehrey ke Ta’assur se samjh jaaien gey

Chahey kuch bhi hon sawalaat na karna unn se
Merey baarey mein koi baat na karna unn se

Baat nikley gee tu phir door talak jaaiey gee

·°―`·••·΄―°·

Aankhein Bheeg Jaati Hain

Sumandar mein uturta hoon tu aankhein bheeg jaati hain
Teri aankhon ko parhta hoon tu aankhein bheeg jati hain

Tumhara naam likhney ki ijaazat chin gai jub se
Koi bhi lafz likhta hoon tu aankhein bheeg jati hain

Naa jaaney ho gaya iss qadar hassaas mein kub se
Kissi se baat karta hoon tu aankhein bheeg jati hai

Woh sub guzrey huey lumhaat mujhko yaad atey hain
Tumharey khut jo parhta hoon tu aankhein bheeg jaati hain

Mein saara din buhut masroof rehta hoon magar joonhi !!
Qadam chaukhut pe rakhta hoon tu aankhein bheeg jaati hain

Hazaaron mausumon ki hukmaraani hai merey dil pur
Wasi
mein jub bhi hansta hoon tu aankhein bheeg jaati hain

·°―`·••·΄―°·

 Top

Kamaal-e-Zabt..

(Height Of Patience)

Kamaal-e-zabt ko khud bhi tu aazmaaon gee
Mein apney haath se uss ki dulhan sajaaoon gee..

Supard kar ke ussey chandni ke haathoon mein
Mein apney ghar ke andhairon mein laut aaoon gee

Badan ke karb ko woh bhi samajh na paaiey gaa
Mein dil mein rauoon gee,aankhoon mein muskuraaoon gee

Woh kiya gaya keh rifaqat ke saarey lutf gayey
Mein kiss se rooth sakoon gee kisey manaaoon gee

Woh jhoot boley gaa aur lajawaab kardey gaa
Mein sach kahoon gee magar phir bhi haar jaaoon gee

Jawaaz dhoondh raha tha nai mohabbaton ka
Woh keh raha tha ke mein uss ko bhool jaaaoon gee

·°―`·••·΄―°·

Tum bin hum kaisay jiyay

Guzartay hain shab-o-sahar tumhian yaad kertay howay
Tum kiya jano kay tum bin hum kaisay jiyay

Tum chal diyay humain younhin tanha Chor ker

Jala kay in ankhon main Phir bhujay gay diyay

Khamosh labon per muskurahat liyay Ankhon main anso liyay

hum bohat bar in ansoon ko Zahar samajh ker piyay

Tumhara ahsas rahay ga Humaisha meray pass

Jeena hai humain is bewafa Zindagi kay liyay

Tum aao ya na aao .. Is dil ko intzar rahay ga

Kyon najanay Dil nay is zindagi say shikway kiyay

Hum to masoom thay Zamanay kay atwar bhi na samjhay

Kuch bhi na manga jis say , Chahton kay yah silay diyay

Sab jeetay hain apnay liyay, Koi nahin merta kisi kay liyay

Per !! Tum kiya jano tum bin Hum kaisay jiyay

·°―`·••·΄―°·

Kuch toot gaye hain kucn...

Kuch toot gaye hain kuch khuwab baaqi hain
Maazi ki wafaoon main kuch sarab baaqi hain

Ab bhi wazey nahin hui tasveer zindage ki
Der perda ab bhi kuch naqaab baaqi hain

Her sawal apni jaga joon ka toon raha
Zabaan pay shikayaton kay kuch jawab baaqi hain

Khali hua behtey behtey yaad main behta sagar
Phir bhi nigahon main kuch sailaab baaqi hain

Maaf kiya khoon-e-jigar apna kisi dosti ko
Tu usi dosti say kuch hisaab baaqi hain

Kisi ka aasmaan tareekiyon ka ujala ban gaya
kahin bay-rukhi kay kuch mehtaab baaqi hain

Mar bhi nahin saktey ab to sukoon-e-zalim
Hasratain reh jaain gee kuch hijaab baaqi hain

Musalsal jal rahay aatish-e-ishq kay angaroon main
Parastish kay aur bhi kuch aadaab baaqi hain

Kaghaz kay nazaron say mehak aaye gee kaisay
Haqeeqat kay guldanoo main kuch gulaab baaqi hain

Kuch toot gaye hain kuch khuwab baaqi hain
Maazi ki wafaoon main kuch sarab baaqi hain ....

·°―`·••·΄―°·

Ghazal...

Hum Safar Gham Jo Mohabaat Mein Diya Hai Tumne
Yeh Bhi Mujhpar Bada Ehesaan Kiya Hai Tumne

Ek Muddat Se Isi Din Ki Thi Hasarat Dil Mein
Aaj Mein Khush Hun Ke Deewana Kaha Hai Tumne

Jab Bhi Takarai Mere Jism Se Yeh Shuokh Hava
Mujhko Mehasoos Hua Ke Chuaa Hai Tumne

Kya Mere Dil Ke Dhadakane Ki Hi Awaaz Hai Yeh
Ya Ke Phir Kaan Mein Kuch AaKe Kaha Hai Tumne

Hitchkiyan Bhi Kabhi Kambhakt Nahin Aati Hai
Jo Yeh Sochon Ke Mujhe Yaad Kiya Hai Tumne

·°―`·••·΄―°·

Humkin Ho Aap...

Mumkin Ho Aap Say Tu Bhula Dijiye Mujhay
Pathar Pay Hoon Lakeer, Mita Dijiye Mujhay

Har Roz Mujh Say Taaza Shikayat Hai Aap Ko
Main Kia Hoon, Aik Baar Bata Dijiye Mujhay

Maray Siwa Bhi Hai Koi Mozoo-e-Guftugu
Apna Bhi Koi Rang Dikha Dijiye Mujhay

Main Kia Hoon, Kis Jagah Hoon, Mujhay Kuch Khabar Nahin
Hain Aap Kitni Duur Zara Sada Dijiye Mujhay

Ki Main Nay Apnay Zakham Ki Tash'heer Jaa Baja
Main Maanta Hoon Jurm, Saza Dijiye Mujhay

Qaim Tou Ho Sakay Koi Rishta Gohor K Saath
Gehray Samandaron Main Baha Dijiye Mujhay

Shab Bhar Kiran Kiran Ko Tarasnay Say Faida
Hai Tairgii Tou Aag Laga Dijiye Mujhay

Jaltey Dinon Main Khud Pass-e-Deewar Baith Kar
Saaye Ki Justuju Main Laga Dijiyey Mujhay

Youn To Shola-e-Jaan Sard Ho Chuka
Laikin Sulag Uthoon Tou Hawa dijiye Mujhay

Top

Rabb kare tu sada hasdi rahe,
koi dukh tere nere vi na aave,
hor ki dua manga rabb to,
tenu sadi vi umar lag jaave
!!!

·°―`·••·΄―°··°―`·••·΄―°··°―`·••·΄―°·

Salamat rakhin mere yaar nu Rabba
Salamat rakhin mere yaar nu Rabba,
Dukh hove na kade naseeb uss nu,
Lakh dooriyan hon sade vich bhawen,
Rakhin dil de sade kareeb uss nu

 

 

  Back               Return Home

                  

 

Copyright © Nadeem