Romantic

          

My Collection

Kaun Kehta Hai Mohabbat Ki Zubaan Hoti hai

Yeh Haqeeqat tou Nigaahon se bayaan hoti hai

Husnay shama likhoon ya Sitaraa likhoon

Humdum likhoon, Saathi likhoon ya Khuwaab likhoon

Tere sarapay pe heraan houn main

Ma-jabeen likhoon, Sahar likhoon ya Aftaab likhoon

Teri zulf jo chupati hai chahra tera

Eesay raqeeb likhoon, Nagin likhoon ya Nikaab likhoon

Nazar Uta kar jo chal diye hain jo app

Be rokhi likhoon, Be wafaa likhoon ya Hayah likhoon

Khatam howa jata hai mera zakhira-e-alfaaz

Dil tu chahta hai teri tareef be hisaab likhoon

Kabbi kabbi mere dil mein khiyyal Aata hai

Us ki Ankhon mein..

 

us ki ankhon mein mohabbat ka sitara hoga
ik din aye ga woh shakhs humara hoga

tum jahan mere liye sipiaan chunti hogi
woh kissi aur hi duniya ka kinara hoga

zindagi abh ke mera naam na shamil karna
gar yeh teh hai ke yehi khel dobara hoga

jiss ke hone se meri saans chala karti thi
kiss terha is ke begair apna guzara hoga

yeh achanak jo ujhala ho jata hai
dil ne chupke se tera tera naam pukara hoga

ishq karna hai to din raat use sochna hai
aur kuch zehan mein aya to hasara hoga

kon rota hai yahan raat ke sanaton mein
mere jaisa hi koi hijar ka mara hoga

mujh ko maloom hai joonhi qadam rakhon ga
zindagi tera koi aur kinara hoga

kaam mushkil hai magar jeet hi loon ga
mere maula ka wasi joonhi ashara hoga


Ajeeb Larka( Boy) hoon...

Ajeeb larka hoon khud ko jalana chahtaa hoon
Mai khud ko rakh ker kaheen bhool jana chahtaa hoon

Mere naseeb ki khushiyaan bhee kab mili mujh ko
Bas ab to umer bher aansoo bhana chahtaa hoon

Najanay kitni mohabbat hai ranj-o-ghum se mujhe
Koi bhee dard ho dil mai chupana chahtaa hoon

Baha baha k ye aasnoo bikhar chuka hoon bahut
Simat k zaat mai ab muskurana chahtaa hoon

Jisay eik umer dil mai chupa k rakha hai
Wo raaz aaj mai sab ko batana chahtaa hoon

Wahee hai yaad jo acha kaha hai logon ne
Baqi saaray sitam bhool jana chahtaa hoon

Mujhe zamanay ne pathar samjh liya hai mager
Mai eik larka hoon sab ko batana chahtaa hoon

Jo mujh se rooth chuki hain zamanay ki khushiyaan
To mai bhee un khushiyoon se rooth jana chahtaa hoon

Koi to ho jo lagaye mujhay seenay se
Kisi ko mai bhee apnay ghum sunana chahtaa hoon

Tu apnay dil k her eik dar ko khool day
Main dard ban ker teray dil mai aana chahtaa hoon

Ghazzal...

teri zulf k bikharnay ko ghata keh doon to kaisa ho

tere aanchal k urnay ko saba keh doon to kaisa ho

mere shikwe shikayat par bhi mujh se payar kartee hai

teri chahat ko main sab se juda keh doon to kaisa ho

teri yaad mere dil pe ajab saa asar kartee hai

teri yadon ko main gar ik nasha keh doon to kaisa ho

bin tumare mujay jeena bara dushwaar lagta hai

tumain main apnay jeenay ki waja keh doon to kaisa ho

jo tum naraz na ho to mujhay ik baat kehni hai

agar main payar se tum ko khuda keh doon to kaisa ho

Kabhi Kabhi mere dil mein...

 

Ke Zindagi teri Zulfoo ki narm cha'aoo mein

Guzarne paati to shaadaab ho bhi sakti thi

Yeh teriki jo meri Zaist ka muqaddar hai

Teri nazar ki Sha'aoo mein kho bhi sakti thi

Ajab na tha ke mein begana-e-alam ho kar

Tere Jamaal ki Re'naaiyoo mein khoya rehta

Tera Gudaaz badan teri neem-baar aankhe

Inhee Haseen fasaanoo mein Maho rehta

Pukaarte mujhe Jab talkhiyaa'n zamaane ki

Tere laboo se halaawat ke ghoont pi leta

Hayaat Cheekti phirtee barhana-sar, aur mein

Ghaneri zulfoo ke Saaye mein chup ke ji leta

 

Magar Yeh ho na saka aur ab yeh aalam hai

Ke tu nahi, tera Gam, teri justajoo bhi nahi

Guzar rahi hai kuch Is tarah zindagi jaise

Isse kisi ke sahaare ki Aarzoo bhi nahi

 

Na koi Jaadah-manzil, na Roshni ka Suraagh

Bhatak rahi hai khalaoo mein zindagi meri

Inhi khalaaoo mein reh jaooNgaa kabhi kho kar

Mein jaanta hoon meri hum-nafas, magar yoo-hi

 

Kabhi Kabhi mere dil mein khayaal aata hai !

Ghazzal...

 

Tumhari Yaad Ki Shama Hamarey Dil Main Roshan Hai...
Issey Khud Hi Bhuja Jana Kabhi Aana Hawa Ban Kar...

Tumhari Aarzo Ki Hai Kabhi Manga Hai Jo Rab Se ...
Merey Hontoon Pe Rahti Ho Meri Jaan Tum Dua Ban Kar...

Tumharey Khuwab Main Dhaikhoon Tumhein Main Raat Din Soochoon...
Ager Yeh Juram Hai Jana! To Aa Jana Saza Ban Kar...

Kaho To Aaj Batla Doon Tumhein Kiun Dhaikhta Hoon Main...
Jo Aati Ho Aadaon Se To Jati Ho Qaza Ban Kar...

Faseel-e-jaan Ager Sir Ho To Pohnchein Terey Koochey Main...
Teri Chokhtat Pe Ja Bhaithoon Muhbbat Ka Gadha Ban Kar...

Yeh Chara Ger Bhala Kaisey Merey Is Marz Ko Samjhein ...
Main Bemar-e-muhabbat Hoon Tum Aa Jao Shafa Ban Kar...

Mujhe Kamil Yaqeen Hai Tum Meri Ho Jao Gi Aik Din ...
Tumharey Dil Main Utroon Ga Muhabbat Ki Sada Ban Kar...

Merey Josh-e-janoon Per Sari Khalqat Muj Ko Takti Hai...
Zara Tum Bhi Nazer Dalo Na Bhaitho Yun Khuda Ban Kar...
Tumhein Yeh Raaz Batla Doon K Akser Chaand Ratoon Main ...
Terey Aangan Main Aata Hoon Sitaroon Kia Zaya Ban Kar...

Jiger Ka Khoon Laya Hoon Terey Singhar Ki Khatir...
Hathaili Per Racha Laina Yeh Mahkey Ga Hina Ban Kar..
Tumhein Jab Yaad Karta Hoon To Kaisey Jaan Sulagti Hai...
Tumhein Bhi Tars Aaye Ga Kabhi Socho Raza Ban Kar..

Kissi Din...

Chehrey pe merey Zulf ko Phailaao kissi Din
Kiya Roz garaj-tey ho, baras jaao kissi Din

Raazon ki tarha utro merey Dil mein kissi shab
dastak pe merey haath ki khul jaao kissi Din

Phoolon ki tarha "husn" ki baarish mein naha loon
Badal ki tarha jhoom ke ghir aao kissi Din

Khushboo ki tarha guzro merey Dil ki gali say
Phoolon ki tarha mujh pe bikhar jaao kissi Din

Phir haath ko khairaat miley bund qaba ki
Phir Lutf -e- shab-e-wasl ko dohraao kissi Din

Guzrein jo merey ghar sey tou ruk jaaein Sitaarey
Iss tarha meri Raat ko chamkaao kissi Din

Mein Apni har aik saans ussi raat ko dey doon
sar rakh ke merey seeney pe so jaao kissi Din

Sangay Marmar Se....

Sangay marmar se tarasha hua ye shukh badan

Itna dil kash hai ke apnanay ko ji chahta hai

Surkh honton mein terkti hai ye rangeen sharaab

Jisay pe kar bhahak janay ko ji chahta hai

Naram seenay mein darktay hain woh nazuk tufaan

Jin ki lahroon mein utar janay ko ji chahta hai

Apnay hath say sanwaraaa hai tujhe Qudrat nay

Dekh kar dekhtay rah janay ko ji chahta hai

Maray daman ko aur koi na cho paye ga

Tum ko cho kar ye kasaam khanay ko je chahta hai

Tujh say rishta hai kab say hai maloom nahi

Phir bhi is husn par mit janay ko je chahta hai

Aaaj ki Raat

Aaj ki raat nahin shikwey, shikayat ke liyey
Aaj hur lamha, hur aik pal hai Mohabbat ke liyey
Reshmi saij hai, mehki hui Tanhaai hai
Aaaj ki Raat muraadon ki Baraat aai hai

hur Gunaah aaj Muqaddas hai Farishton ki tarha
Kaanptey haathon ko mil jaaney do Rishton ki tarha
Aaj milney mein na uljhan hai, na ruswaai hai
Aaaj ki Raat muraadon ki Baraat aai hai

Apni zulfein merey Shaaney pe bikher jaaney do
Iss haseen raat ko kuch aur Nikher jaaney do
Subha ne aaj Na aaney ki Qasam khaai hai
Aaaj ki Raat muraadon ki Baraat aai hai

KYA THA

Khawab thaayaa Khayyal tha kya tha
hijr tha yaa visaal thaa kya tha

chamakii bijalii sii par na samajhe ham
husn tha yaa jamaal thaa kyatha

jis ko ham roz-e-hijr samajhe the
maah tha vo ke saal tha kya tha

'Mussafi' kal jo chup saa baithaa tha
kya tujhe kuchh malaal thaa kya tha

TEREY HONTON(LIPS) KO SALAAM...


Terey honton ko salaam
Terey
honton ko salaam
Jinn se chhoo jaaney ko tarsey kai saaghar, kai jaam

Inn gulaabon pe jaley jab se tabbassum ke diyey
Theek uss din se meri pyaas bujhaaney ke liyey
Terey
honton ke kinaarey hain merey dil ka qayaam

Tu jab in
honton ko daanton mein daba leti hai
Teri yeh chup kissi toofaan ka pata deti hai
Pyaas jo inn mein chupi hai, issey kardey merey naam

Mein bhi pyaasa hoon,buhut pyaas lagi hai mujh ko
Teri umeed ,teri aas lagi hai mujh ko
Kab karein gey merey
honton se ,terey hont kalaam

Terey
honton ko salaam
Terey
honton
ko salaam
Jinn se choo jaaney ko tarsey kai saaghar ,kai jaam

TOP

Ghazzal...

kabhi kitaabon main phool rakhana
kabhi darakhton pe naam likhana
hamein bhi hai yaad aaj tak woh
nazar se harf-e-salaam likhana

woh chaand chehare woh bahaki batein
sulagate din the mahakati ratein
woh chote chote se kaagazon par
muhabbaton ke payaam likhana

gulaab chehron se dil lagaana
woh chupke chupke nazar milaana
woh arazuon ke Khawab bunana
woh qissa-e-naatamaam likhana

mere nagar ki hasin fazaon
kahin jo un ke nishaan paaon
to puchana ye kahan base ho
kahaan hain un kaa qayaam, likhana

gayi ruton main "Hasan" hamaara
bas ek hi to ye mashagalaa tha
kisi ke chehre ko subah kahana
kisi ki zulfon ko shaam likhana

TERA CHEHRA...

Jab se dekha hai maine yeh chehra tera
Chehra aur koi bhaya nahin
Jab se dil mein basi hai tu jaaneman
Khayalon mein bhi koi aaya nahin
Aankhon aankhon mein raten guzar jathi hai
Yaad ka kya hai yeh har pehar aathi hai
Bhool gaye khud ko hum toh tumhare liye
Ek pal bhi tumhe par bhulaya nahin
Jab se dekha hai maine yeh chehra tera
Chehra aur koi bhaya nahin
Jab se dil mein basi hai tu janeman
Khayalon mein bhi koi aaya nahin

KUNGAN...

kaash mein terey haseen haath ka kungan hota

Tou barey chao se, barey maan ke saath
apni nazuk si kalaai mein charhati mujh ko
aur betaabi se furqat ke khizaan lumhoon mein
Tou kissi soch mein doobi jo ghumaati mujh ko
Mein terey haath ki khusboo se mehek sa jata

Jab kabhi mood mein aa kar mujhey chooma karti
Terey honton ki mein hiddat se dehek sa jata

Raat ko jub bhi tou neendon ke safar par jati…
Murmareen haath ka ek takiya banaya karti
Mein terey kaan se lug kar kai baatein karta
Teri zulfon ko terey gaal ko chooma karta

Jub bhi tu bund qaba kholney lugti janaan
Apni aankhon ko terey husn se kheera karta

Mein teri rooh ke gulshan mein mehekta rehta
Mein terey jissem ke aangan mein khanakta rehta

Kuch nahin tu yahi be-naam sa bandhan hota
Kaash mein terey haseen haath ka kungan hota

Kaash mein terey haseen haath ka kungan hota

Ghazzal...

Suna Hai Loug "Ussey" Aankh bhur ke dekhtey hain
So "Uss" ke Sheher mein kuch din theher ke dekhtey hain

Suna hai boley tou baaton se phool jhartey hain
yeh baat hai tou chalo baat kar ke dekhtey hain

Suna hai Raat ko ussey Titliyaan sataati hai
Suna hai Raat ko Jugnoo theher ke dekhtey hain

Suna hai uss ke badan ki taraash aisi hai
ke phool apni qabaaein katar ke dekhtey hain

Rukey tou gardishein uss ka tawaaf karti hain
chaley tou uss ko zamaaney theher ke dekhtey hain

Kissey naseeb ke be-pairahan ussey dekhey
kabhi kabhi dar-o-deewaar ghar ke dekhtey hain

kahaaniyaan hi sahi , sab mubaalghey hi sahi
agar "woh" khawaab hai , "Taabeer" kar ke dekhtey hain

Judaaiyaan tou muqadder hai phir bhi jaan-e-safar
kuch aur door zara saath chal ke dekhtey hain

"Toou" saamney hai tou phir kiyon yaqeen nahin aata
yeh baar baar jo aankhon ko mal ke dekhtey hain

yeh kaun loug hain maujood teri mehfil mein
jo Laalachon se Tujhey ....Mujh ko jal ke dekhtey hain

Na tujh ko maat hui hai na mujh ko maat hui
So Ab ke donon hi chaalein badal ke dekhtey hain

Buhut dinon se nahin hai kuch "Uss" ki khair khabar
chalo Faraaz ko, Aey Yaar chal ke dekhtey hain

TOP

Jhumka...

Kaash mein terey Kaan ka Jhumka Hota

Raat ko be-khabri mein jo machal jaata Mein
Tu tery kaan se chup chaap nikal jaata Mein

Subah ko girtey teri zulfon se jub Baasi phool
merey kho jaaney pe hota tera Dil kitna malool

Toou mujhey dhoondti kiss shauq se ghabraahat mein
apney mehkey huey bister ki hur aik sliwat mein

Kaan se, Toou mujhey hurgiz naa utaara karti
Toou kabhi meri judaai na gawaara karti

Aik Shaam Aisi Ho...

Aik sham kabhi tu aisi ho
jis sham main hum tum tanha hoon
jis sham ki yaad rahe barsoon
har lamha jis ka apna ho
jahan phool mehktay lafzoon ke
jahan rang damaktay lafzoon ke
jis sham ke dhaltay saye main
wo pass humaray aye hoon
khuabon ko chupa kar ankhoon main
khusboo ko basa ka sansoon main
duniya ke ghamoon ko bholain hum
aik bar tujhe jab cholain hum
aik sham kabhi tu aisi ho

Acha Laga...

Bheer mein aik ajnabi ka saamna acha laga

sab se chhup kar woh kissi ka dekhna acha laga

Surmai Aankhon ke neechey phool se khilney lagey

kehtey kehtey kuch kissi ka sochna acha laga

baat tou kuch bhi nahin thi laiken "uss" ka aik dum

haath ko honton pe rakh kar rokna acha laga

Chaa'ey mein cheeni milaana uss ghari bhaaya buhut

zair - e lab woh muskuraata "shukria" acha laga

Dil mein kitney aehed baandhey thay bhulaaney ke ussey

woh mila tou sab iraadey torna acha laga

Uss udoo - e - jaan ko  bura kaisey kahoon

jab bhi Aaya saamney woh be-wafa acha laga

Barson ke baad

Barson ke baad dekha, Aik shakhs Dilruba saa
Ab zehen mein naheen hai , per naam tha bhala saa

Ubroo khichey khichey sey, Aankhain jhuki jhuki see
Baatein ruki ruki see , Lehja thaka thaka saa

Alfaaz thay ke Jugnoo, awaaz ke safar mein
Bun jaaey jungalon mein jaisey ke Raasta saa

Khawabon mein khawab Uss ke, Yaadon mein yaad uss ki
Neendon mein ghul gaya ho jaisey ke rat-jaga saa

Pehley bhi zindagi mein, kitney hee loug aaey
Woh her tarha sey lekin, auron sey tha juda saa

Agli muhabboton ne, woh na-muraadian deen
Taaza Rifaaqaton sey, Dil tha dara dara saa

Kuch yeh ke muddaton se, Hum bhi nahi thay roey
Kuch zeher mein bujha tha, ahbaab ka dilaasa

Ab such kahein tou yaaro, Hum ko khaber naheen thi
Bun jaaey ga qayamat, Aik waaqaya zara saa

Tewer thay berukhi key, andaaz dosti key
Woh ajnabi tha laikin, lagta tha Aashna saa

TOP

Tumhari Aarzo

Tumhari Aarzo Ki Hai Kabhi Manga Hai Jo Rab Se
Merey Hontoon Pe Rahti Ho Meri Jaan Tum Dua Ban Kar

Tumhare Khuwab Main Dhaikhon Tumhein Main Raat ban kar
Ager Yeh Juram Hai Jana! To Aa Jana Saza Ban Kar

Kaho To Aaj Batla Doon Tumhein Kiun Dhaikhta Hoon Main
Jo Aati Ho Aadaon Se To Jati Ho Qaza Ban Kar

Faseel-e-jaan Ager Sir Ho To Pohnchein Terey Koochey Main
Teri Chokhtat Pe Ja Bhaithoon Muhbbat Ka Gadha Ban Kar

Yeh Chara Ger Bhala Kaisey Merey Is Marz Ko Samjhein
Main Bemar-e-muhabbat Hoon Tum Aa Jao Shafa Ban Kar

Mujhe Kamil Yaqeen Hai Tum Meri Ho Jao Gi Aik Din
Tumharey Dil Main Utroon Ga Muhabbat Ki Sada Ban Kar

Merey Josh-e-janoon Per Sari Khalqat Muj Ko Takti Hai...
Zara Tum Bhi Nazer Dalo Na Bhaitho Yun Khuda Ban Kar...

Tumhein Yeh Raaz Batla Doon K Akser Chaand Ratoon Main
Terey Aangan Main Aata Hoon Sitaroon Kia Zaya Ban Kar

Jiger Ka Khoon Laya Hoon Terey Singhar Ki Khatir
Hathaili Per Racha Laina Yeh Mahkey Ga Hina Ban Kar

Tumhein Jab Yaad Karta Hoon To Kaisey Jaan Sulagti Hai.
Tumhein Bhi Tars Aaye Ga Kabhi Socho Raza Ban Kar

Teri Aarzo...

Tumhari Aarzo Ki Hai Kabhi Manga Hai Jo Rab Se
Merey Hontoon Pe Rahti Ho Meri Jaan Tum Dua Ban Kar.


Tumharey Khuwab Main Dhaikhoon Tumhein Main Raat Din Soochoon
Ager Yeh Juram Hai Jana! To Aa Jana Saza Ban Kar


Kaho To Aaj Batla Doon Tumhein Kiun Dhaikhta Hoon Main
Jo Aati Ho Aadaon Se To Jati Ho Qaza Ban Kar


Faseel-e-jaan Ager Sir Ho To Pohnchein Terey Koochey Main
Teri Chokhtat Pe Ja Bhaithoon Muhbbat Ka Gadha Ban Kar


Yeh Chara Ger Bhala Kaisey Merey Is Marz Ko Samjhein
Main Bemar-e-muhabbat Hoon Tum Aa Jao Shafa Ban Kar


Mujhe Kamil Yaqeen Hai Tum Meri Ho Jao Gi Aik Din
Tumharey Dil Main Utroon Ga Muhabbat Ki Sada Ban Kar


Merey Josh-e-janoon Per Sari Khalqat Muj Ko Takti Hai
Zara Tum Bhi Nazer Dalo Na Bhaitho Yun Khuda Ban Kar


Tumhein Yeh Raaz Batla Doon K Akser Chaand Ratoon Main
Terey Aangan Main Aata Hoon Sitaroon Kia Zaya Ban Kar


Jiger Ka Khoon Laya Hoon Terey Singhar Ki Khatir
Hathaili Per Racha Laina Yeh Mahkey Ga Hina Ban Kar


Tumhein Jab Yaad Karta Hoon To Kaisey Jaan Sulagti Hai
Tumhein Bhi Tars Aaye Ga Kabhi Socho Raza Ban Kar

Ghazzal...

tum chup rahe payaam-e-muhabbat yahi to hai
aankhen jhukeen nazar ki qayaamat yahi to hai

mahafil main luog chaunk pare mere naam par
tum muskuraa diye meri qimat yahi to hai

tum puchate ho tum ne shikayat bhi nahi ki kabhi
sach puchiye to mujh ko shikaayat yahi to hai

vaade the beshumaar magar aay mizaaj-e-yaar
ham yaad kya dilayein nazaakat yahi to hai

mere talab ki had hai na tere atah ki had
mujh ko tere karam se nidaamat yahi to hai

Sandal Kar Do

Apnay ahsah say choo ker mujhay Sandal ker do

Kay main Sadion say adhoora hon Mukamil ker do

Na tumahin hosh rahay na Mujhay hosh rahay

Is qadar toot kay chaho kay Pagal ker do

Tum hathaili ko meray payar ki Mahndi say Rango

Apni Ankhon main Meray naam ka Kajal ker do

Dhoop hi dhoop hon main, Toot kay berso mujh per

Main to Sahra hon , Mujhay payar ka Badal ker do

Us kay say main meray Khowab mahak Uthain gay

Meray chahray per Umeedon bhara Anchal ker do

Apnay honton say koi mohar Lagao mujh per

Aik Nazar payar say Dekho kay Ghayal ker do

  TOP                

 

Mohabbat ke liyey kuch khaas Dil makhsoos hotey hain
Yeh woh naghma hai, jo hur saaz pe gaaya nahin jaata

 

 

                 

                                                               

 

                       Copyright © Nadeem